teri jhalak nigah ke har zawiye mein hai
dekhun to shakl apni mere aaine mein hai
laTki hui hai ruh ki suli pe zindagi
sanson ka silsila hai ki rassi gale mein hai
kanTon ki pyas ne mujhe khincha barahna-pa
jaise bhari sabil har ek aable mein hai
sanson ki oT le ke chala hun charagh-e-dil
sine mein jo nahin wo ghuTan raste mein hai
meri sada ke phul chaDhate hain mujh pe log
zinda to hun magar mera fan maqbare mein hai
Dalon kahan paDaw ki raste bhi hain rawan
manzil kahan mile ki wo KHud qafile mein hai
main tujh ko chahta hun go hasil na kar sakun
lazzat wo qurb mein kahan jo fasle mein hai
paya sila ye tujh ko 'muzaffar' ne DhunDh kar
shamil ab us ka nam bhi tere pate mein hai

Ghazal
Teri jhalak nigah ke har zawiye mein hai
Muzaffar Warsi