اردو हिंदी
Teri inayaton ka ajab rang Dhang tha | Shaahi Shayari
teri inayaton ka ajab rang Dhang tha

Ghazal

Teri inayaton ka ajab rang Dhang tha

Amir Hamza Saqib

;

teri inayaton ka ajab rang Dhang tha
tere huzur pa-e-qanaat mein lang tha

sahra ko raundne ki hawas pa-ba-gil hai ab
yun tha kabhi ki daman-e-afaq tang tha

daman ko tere tham ke rahat baDi mili
ab tak main apne aap se masruf-e-jang tha

hangam-e-yaad dil mein na aahaT na dastaken
shorish-kade mein raat KHamoshi ka rang tha

tu aaya lauT aaya hai guzre dinon ka nur
chehron pe apne warna to barson ka zang tha

raqs-e-junun mein bhi tha tariq-e-hunar ka Dhab
sufi-e-ba-safa tha koi ya malang tha

kya aasman uThate mohabbat mein jab ki dil
tar-e-nigah mein uljhi hui ek patang tha