teri gali mein ek diwana aksar aaya karta tha
diwaron se sar Takra ke lutf uThaya karta tha
baiTh ke sahil par hum donon sapne boya karte the
ret ke sine par ek bachcha mahl ugaya karta tha
aaj bhi is marhum ki yaaden ashkon se paiwasta hain
dil dukhiyara tere mere dard baTaya karta tha
mere panw chaT ke mere qad se bhi baDh jata tha
mere sath tamashe kitne mera saya karta tha
nok-e-mizha par kitne qulzum tham ke baiTha rahta tha
jaane kyun main gahre gahre zaKHm chhupaya karta tha
ye bhi husul-e-namwari ki kitni pagal koshish thi
aab-e-rawan par likh ke apna nam miTaya karta tha
Ghazal
Teri gali mein ek diwana aksar aaya karta tha
Sayed Naseer Shah