teri gali ko chhoD ke jaana to hai nahin
duniya mein koi aur Thikana to hai nahin
ji chahta hai kash wo mil jae rah mein
haalanki mojazon ka zamana to hai nahin
is ghar mein us ke nam ka kamra hai aaj bhi
jis ko kabhi bhi lauT ke aana to hai nahin
shayad wo rahm kha ke meri jaan baKHsh de
qatil hai koi dost purana to hai nahin
ashkon ko 'ruhi' KHarch karo dekh-bhaal ke
aankhon ke pas koi KHazana to hai nahin
Ghazal
Teri gali ko chhoD ke jaana to hai nahin
Rehana Roohi