teri chashm-e-sitam-ijad se Dar lagta hai
ye ghalat hai kisi uftad se Dar lagta hai
is liye chup hun ki aadab-e-qafas par hai nazar
kaun kahta hai ki sayyaad se Dar lagta hai
hum to lazzat-kash-e-azar hain ai josh-e-wafa
aur hain wo jinhen bedad se Dar lagta hai
tere jalwon ko kahin aam na kar den ai dost
is liye mani-o-bahzad se Dar lagta hai
kash wo waqt na aae meri duniya mein kabhi
jab mohabbat ki har uftad se Dar lagta hai
kahin aisa na ho zindan bhi bayaban ho jae
ishq ki fitrat-e-azad se Dar lagta hai
pahle Dar tha ki kahin bhul na jaun tujh ko
ab ye aalam hai teri yaad se Dar lagta hai
na wo aadab-e-wafa hain na wo aadab-e-junun
ai 'mushir' ab dil-e-nashad se Dar lagta hai
Ghazal
Teri chashm-e-sitam-ijad se Dar lagta hai
Mushir Jhanjhanvi