teri bhanwon ki tegh ke jo ru-ba-ru hua
sab aashiqon ki saf mein wo hi surKH-ru hua
tujh zulf ke KHayal sin kyunkar nikal sakun
har pech-o-KHam namuna-e-tauq-e-gulu hua
tere nigah ka tir hai az-bas-ke mushigaf
mamnun har ek zaKHm sin main hu-ba-hu hua
rishte sin mauj-e-gul ki hawa-e-bahaar mein
sab bulbulon ka chaak-gareban rafu hua
suraj ka rang chand siri ka hua safed
jis subh kun sawar wo KHurshid-ru hua
jis ki zaban mein ishq ke afsun ka hai asar
har harf us ka mauj-e-pari hu-ba-hu hua
barja hai gar kahun main use shisha aatishi
chashm-e-'siraj' aaina-shoala-ru hua
Ghazal
Teri bhanwon ki tegh ke jo ru-ba-ru hua
Siraj Aurangabadi