teri baaton ka ras udasi hai
mere daman mein bas udasi hai
dusra jism hai ye miTTi ka
mera pahla qafas udasi hai
dhaDkanen karwan KHarabon ka
un ki har ek jaras udasi hai
muzmahil hun baDe dinon se main
mujh ko banhon mein kas udasi hai
ibn-e-adam ke gham batate hain
kaisi kohna-nafas udasi hai
kya dikhata kisi masiha ko
main to samjha tha bas udasi hai
din KHushi ke nikal kar dekhe
umr ka har baras udasi hai
dil ka 'aKHtar' mazar sine mein
gham hai gumbad kalas udasi hai
Ghazal
Teri baaton ka ras udasi hai
Junaid Akhtar