teri aankhon se apni taraf dekhna bhi akarat gaya
yani pahchan ka ye naya silsila bhi akarat gaya
yun hinai lakiren uDin ajnabi taeron ki tarah
par-burida sa rang-e-kaf-e-sad-hina bhi akarat gaya
ab khula hai ki mera tere rang mein tere andaz mein
bolna hi nahin dekhna sochna bhi akarat gaya
sun raha hun abhi tak main apni hi aawaz ki bazgasht
yani is dasht mein zor se bolna bhi akarat gaya
wo zuleKHai KHwahish hi apne sabab se pasheman na thi
satwen dar ke andar mera hausla bhi akarat gaya
koi lau tak na di kale peDon ko is aatishin raqs ne
yani jangal mein us mor ka nachna bhi akarat gaya
Ghazal
Teri aankhon se apni taraf dekhna bhi akarat gaya
Abbas Tabish