teri aaghosh mein niDhaal hun main
bhigti raat ka zawal hun main
jitna suljhaoge aur uljhoge
waqt ka ek baDa sawal hun main
aur pichhle-pahar gale mil le
Dubti raat ka kamal hun main
apne andar simaTta jata hun
KHushk dariya ka ek jal hun main
fasle qarnon ke judai mein
tera mazi hun apna haal hun main
kya samajh ke hansa hai tu mujh par
tere hi aaine ka baal hun main
ye 'musawwir' bhanwar mein aa ke khula
Dubne mein bhi be-misal hun main
Ghazal
Teri aaghosh mein niDhaal hun main
Musavvir Sabzwari

