tere tausan ko saba bandhte hain
hum bhi mazmun ki hawa bandhte hain
aah ka kis ne asar dekha hai
hum bhi ek apni hawa bandhte hain
teri fursat ke muqabil ai umr
barq ko pa-ba-hina bandhte hain
qaid-e-hasti se rihai malum
ashk ko be-sar-o-pa bandhte hain
nashsha-e-rang se hai washud-e-gul
mast kab band-e-qaba bandhte hain
ghalati-ha-e-mazamin mat puchh
log nale ko rasa bandhte hain
ahl-e-tadbir ki wamandgiyan
aablon par bhi hina bandhte hain
sada purkar hain KHuban 'ghaalib'
hum se paiman-e-wafa bandhte hain
panw mein jab wo hina bandhte hain
mere hathon ko juda bandhte hain
husn-e-afsurda-dili-ha-rangin
shauq ko pa-ba-hina bandhte hain
qaid mein bhi hai asiri aazad
chashm-e-zanjir ko wa bandhte hain
shaiKH-ji kabe ka jaana malum
aap masjid mein gadha bandhte hain
kis ka dil zulf se bhaga ki 'asad'
dast-e-shana ba-qaza bandhte hain
tere bimar pe hain fariyaadi
wo jo kaghaz mein dawa bandhte hain
Ghazal
Tere tausan ko saba bandhte hain
Mirza Ghalib