tere tasawwuraat se bachna hai ab muhaal bhi
kuchh to hai teri fikr bhi kuchh hai tera KHayal bhi
ai dost aa ke dekh le ishq ka ye kamal bhi
tu hi mera jawab hai tu hi mera sawal bhi
aai tumhaari yaad jab Dhal gai lamhon mein sadi
aisa laga ki ruk gai gardish-e-mah-o-sal bhi
duri ke bawajud bhi Takra rahi hai sans ab
aisi judai par karun qurban sad-visal bhi
koi zamane mein nahin jis pe ho tera aks bhi
kis se misal dun teri milti nahin misal bhi
naz kabhi na kijiye apne uruj-e-haal par
baad-e-kamal ai 'ziya' aata hai ek zawal bhi
Ghazal
Tere tasawwuraat se bachna hai ab muhaal bhi
Sayed Zia Alvi