tere suraj ko teri sham se pahchante hain
zindagi hum tujhe anjam se pahchante hain
kis qadar dhup kamata hai yahan koi ise
raunaq-e-mashghala-e-sham se pahchante hain
ishq wale to uThate hi nahin apni nigah
husn ko husn ke ahkaam se pahchante hain
KHas andaz se KHat likhta hai wo parda-nashin
hum use nudrat-e-paigham se pahchante hain
kaun karta hai pas-e-parda-e-aina kalam
aks ko hairat-e-ilham se pahchante hain
saKHt taklif uThai hai use jaanne mein
is liye ab use aaram se pahchante hain
sach phaTe haal sa phirta hai gali-kuchon mein
sach ko aksar isi anjam se pahchante hain
main ne tardid to bheji thi pa shae na hui
ahl-e-shahr ab mujhe ilzam se pahchante hain
kaise naqqad hain ye itni baDi shairi ko
bas riayat se iham se pahchante hain
'farhat-ehsas' kabhi ghar se nikalta hi nahin
shahr wale use bas nam se pahchante hain
Ghazal
Tere suraj ko teri sham se pahchante hain
Farhat Ehsas