tere siwa bhi koi mujhe yaad aane wala tha
main warna yun hijr se kab ghabrane wala tha
jaan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya
har wo qissa jo dil ko bahlane wala tha
mujh ko nadamat bas is par hai log bahut KHush hain
is lamhe ko kho kar jo pachhtane wala tha
ye to KHair hui dariya ne ruKH tabdil kiya
mera shahr bhi us ki zad mein aane wala tha
ek ek kar ke sab raste kitne sunsan hue
yaad aaya main lambe safar par jaane wala tha

Ghazal
Tere siwa bhi koi mujhe yaad aane wala tha
Shahryar