tere shaida bhi hue ishq-e-tamasha bhi hue
tere diwane tere shahr mein ruswa bhi hue
zulf to zulf hai duniya se bhi uljhe hain ki hum
ek bagula bhi bane hamil-e-sahra bhi hue
tum to sun pae na aawaz-e-shikast-e-dil bhi
kuchh hamin the ki harif-e-gham-e-duniya bhi hue
hum faqiran-e-mohabbat ke ajab tewar hain
razm-e-kaba bhi bane bazm-e-kalisa bhi hue
miT ke hum KHak hue KHak-e-rah-e-ku-e-butan
ban ke hum hasil-e-sad-bazm-e-tajalli bhi hue
pesh-e-KHurshid-e-ruKHan zarra-e-nachiz rahe
aur hum ru-kash-e-husn-e-ruKH-e-zeba bhi hue
zinat-e-mahfil-e-sad-zohra-jabinan hue hum
han magar ye ki bhari bazm mein tanha bhi hue
yun to 'baqar' bhi rahe KHak-nashinon mein tere
ye alag baat tere lutf se yakta bhi hue

Ghazal
Tere shaida bhi hue ishq-e-tamasha bhi hue
Sajjad Baqar Rizvi