tere sath chalti hun ek jahan jata hai
gar gurez karti hun tera man jata hai
dard ke hawale se kitna ba-KHabar hai wo
mere dil ki baaton ko kaise jaan jata hai
dhup hi to milti hai zard zard mausam mein
wahshaton ke sahra mein saeban jata hai
KHak-e-dil tujhe le kar ab kahan kahan jaun
gar zamin ki hoti hun aasman jata hai
hijr ke samundar se main guzar ke aai hun
tere ab na milne se mera man jata hai
jab rawish pe chalti hun main ada-e-wahshat ki
phul ruTh jate hain gulsitan jata hai
bazm mein use 'rumi' jab bhi dafatan dekhun
zabt hi nahin dil se har guman jata hai

Ghazal
Tere sath chalti hun ek jahan jata hai
Rumana Rumi