tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota
ki na chaukhaT teri hoti na mera sar hota
qismat-e-najd ka gar qais commissioner hota
lady-laila ki hawa-KHori ko motor hota
ghair mil-jul ke uTha lete ki the be-ghairat
go pahaD aap ke ehsan ka chhappar hota
chae mein Dal kar ushshaq use pi jate
dar-haqiqat lab-e-mashuq jo shakkar hota
malak-ul-maut pe jhalne ko banata main chanwar
taer-e-ruh ki dam mein jo koi par hota
le hi leta lab-e-dildar ka bosa uD kar
kash aashiq jo banaya tha to machchhar hota
Thokaren ghair ke marqad pe lagata kyun kar
boot ki ja pe jo tu pahne sleeper hota
chaTta sari kitabon ko baghair az-diqqat
ilm ka shauq jise hai jo wo jhengar hota
pas karta resolution ki hasinon pe ho tex
main kabhi municipality ka jo member hota
lucknow se shab-e-yak-shamba bareilly aate
panw mein gar na 'zarif' apne sanichar hota
Ghazal
Tere rahne ko munasib tha ki chhappar hota
Zareef Lakhnavi