tere qaul-o-qarar ki baaten
kuchh nahin e'tibar ki baaten
aap ka munh hai warna hum sunte
dushman-e-bad-shiar ki baaten
pura karna na karna wade ka
hain tere iKHtiyar ki baaten
dekhne ko to bhole-bhaale ho
hain magar hoshiyar ki baaten
kaam tere dagha fareb ke kaam
baaten iman-dar ki baaten
aap ki baaten ai safi'-sahab
sab ki sab hain KHumar ki baaten

Ghazal
Tere qaul-o-qarar ki baaten
Safi Aurangabadi