tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun
main dushmanon mein hun ki tere doston mein hun
mujh se gurez-pa hai to har rasta badal
main sang-e-rah hun to sabhi raston mein hun
tu aa chuka hai sath pe kab se KHabar nahin
bedard main abhi unhin gahraiyon mein hun
ai yar-e-KHush-dayar tujhe kya KHabar ki main
kab se udasiyon ke ghane jangalon mein hun
tu luT kar bhi ahl-e-tamanna ko KHush nahin
yan luT ke bhi wafa ke inhi qafilon mein hun
badla na mere baad bhi mauzu-e-guftugu
main ja chuka hun phir bhi teri mahfilon mein hun
mujh se bichhaD ke tu bhi to roega umr bhar
ye soch le ki main bhi teri KHwahishon mein hun
tu hans raha hai mujh pe mera haal dekh kar
aur phir bhi main sharik tere qahqahon mein hun
KHud hi misal-e-lala-e-sahra lahu lahu
aur KHud 'faraaz' apne tamashaiyon mein hun
Ghazal
Tere qarib aa ke baDi uljhanon mein hun
Ahmad Faraz