tere nalon se koi badnam hota jaega
tu bhi ai dil morid-e-ilzam hota jaega
mutmain hun main ki ho jaega saman-e-sukun
dard baDhta jaega aaram hota jaega
wajh-e-nakaami na hon ai dil teri be-sabriyan
sabr se le kaam KHud har kaam hota jaega
chhoD de ai dil tamanna zindagi ki chhoD de
tu halak-e-gardish-e-ayyam hota jaega
hum tahi-dastan-e-qismat mar gae pyase to kya
mai-kade mein yunhi daur-e-jam hota jaega
iltifat-e-naz jo maKHsus tha mere liye
kya KHabar thi rafta rafta aam hota jaega
aib hai 'shakir' har ek ke samne arz-e-hunar
nam ki KHwahish mein tu badnam hota jaega
Ghazal
Tere nalon se koi badnam hota jaega
Shakir Kalkattvi