اردو हिंदी
Tere liye sab chhoD ke tera na raha main | Shaahi Shayari
tere liye sab chhoD ke tera na raha main

Ghazal

Tere liye sab chhoD ke tera na raha main

Abbas Tabish

;

tere liye sab chhoD ke tera na raha main
duniya bhi gai ishq mein tujh se bhi gaya main

ek soch mein gum hun teri diwar se lag kar
manzil pe pahunch kar bhi Thikane na laga main

warna koi kab galiyan deta hai kisi ko
ye us ka karam hai ki tujhe yaad raha main

main tez hawa mein bhi bagule ki tarah tha
aaya tha mujhe taish magar jhum uTha main

is darja mujhe khokhla kar rakkha tha gham ne
lagta tha gaya ab ke gaya ab ke gaya main

ye dekh mera hath mere KHun se tar hai
KHush ho ki tera madd-e-muqabil na raha main

ek dhoke mein duniya ne meri rae talab ki
kahte the ki patthar hun magar bol paDa main

ab taish mein aate hi pakaD leta hun panw
is ishq se pahle kabhi aisa to na tha main