tere liye main bazi lagaungi jaan ki 
ye intiha hai tere bharam ke guman ki 
mujh pe laga ke bandishen duniya-jahan ki 
KHud sair kar rahe ho miyan aasman ki 
dhanda kiye hain aap hi barud ka miyan 
aur baat kar rahe hain ji amn-o-aman ki 
bad-KHu-o-bad-zaban kaho be-adab kaho 
tarif mein ai dosto har 'haq'-bayan ki
        Ghazal
Tere liye main bazi lagaungi jaan ki
Sayyada Arshia Haq

