اردو हिंदी
Tere kuche se na ye sheftagan jate hain | Shaahi Shayari
tere kuche se na ye sheftagan jate hain

Ghazal

Tere kuche se na ye sheftagan jate hain

Meer Mohammadi Bedar

;

tere kuche se na ye sheftagan jate hain
jhuT kahte hain ki jate hain kahan jate hain

aamad-o-raft na puchh apni gali ki hum se
aate hain hanste hue karte fughan jate hain

kaba o dair mein dekhe hain usi ka jalwa
kufr o islam mein kab dida-waran jate hain

nahin maqdur ki pahunche koi us tak par hum
jun nigah dida-e-mardum se nihan jate hain

gar hai didar-talab saf kar apne dil ko
ru-ba-ru us ke to aaina-dilan jate hain

jazb tera hi agar khinche to pahunchen warna
tujh ko sunte hain pare wan se jahan jate hain

aah karta hai KHarash un ka dilon mein nala
kaun ye qafile mein nala-zanan jate hain

ji mein hai kahiye ghazal aur muqabil us ke
guhar is bahar mein mazmun ke rawan jate hain

tujh ko 'bedar' rakha pichhe giran-bari ne
rah-rau jo hain subuksar dawan jate hain