tere KHwabon mein mohabbat ki duhai dunga
jab koi aur na hoga to dikhai dunga
meri duniya mein faqat ek KHuda kafi hai
dosto kitne KHudaon ko KHudai dunga
dil ko main qaid-e-qafas se to bacha le aaya
kab use qaid-e-nasheman se rihai dunga
koi insan nazar aae to bulao us ko
use is daur mein jine pe badhai dunga
dekh lun apne gareban hi mein munh Dal ke main
apne haalat ki kis kis ki burai dunga
tum agar chhoD gae mujh ko to yun taDpunga
sari duniya ko gham-e-dard-e-judai dunga
teri hi ruh ka naghma hun agar miT bhi gaya
main tujhe dusri duniya se sunai dunga
Ghazal
Tere KHwabon mein mohabbat ki duhai dunga
Qamar Jalalabadi