tere khone ka kis qadar gham hai
aaj aalam tamam mubham hai
dekhta hun nazar nahin aata
kaisa nairang chashm-e-pur-nam hai
dard Thahra hua sa hai dil mein
sozish-e-gham bhi aaj kam kam hai
kitni viraniyan hain aankhon mein
kitna pairon mein raqs-e-paiham hai
dida-o-dil bujhe se jate hain
kaisi ghamnak sham-e-matam hai
tum ne 'masu' ko bhi dekha hai
wo to afsurdagi mujassam hai

Ghazal
Tere khone ka kis qadar gham hai
Masud Husain Khan