tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain
hum apne ghar mein bhi tera hi ghar banate hain
bajae yaum-e-malamat rakha hai jashn mera
mere bhi dost mujhe kis qadar banate hain
bikherte raho sahra mein bij ulfat ke
ki bij hi to ubhar kar shajar banate hain
bas ab hikayat-e-mazduri-e-wafa na bana
wo ghar unhen nahin milte jo ghar banate hain
tera bhi nam chhapa wajh-e-marg-e-ashiq mein
ye dekh be-KHabare yun KHabar banate hain
wo kya KHuda ki parastish karenge meri tarah
jo ek but bhi bahut soch kar banate hain
kaha ye kis ne ki hai qasr-e-ishq rahn-e-shabab
banane wale ise umr-bhar banate hain
tu aae to teri kari-gari ki laj rahe
hum aaj dasht mein rah kar bhi ghar banate hain
mili na fursat-e-araish-e-bayaban bhi
ki hum yahan bhi tere baam-o-dar banate hain
adu hawao karachi ke log haare nahin
jo ghar girao wo bar-e-digar banate hain
abu-dhabi mein hamesha nai ghazal 'ali'
ye log hi to tujhe mo'tabar banate hain
Ghazal
Tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain
Jameeluddin Aali