tere jalwe se mere dil ka farozan hona
ek zarre ka hai KHurshid-ba-daman hona
jab kisi ghunche ka munh chumti hai mauj-e-nasim
yaad aata hai tere lab ka gulistan hona
kis ko fursat hai ki har but ka jigar chaak kare
warna mushkil to na tha kufr ka iman hona
ab kahan jaun ye aashob-e-tamanna le kar
dard ko aa gaya mizrab-e-rag-e-jaan hona
sans lene ko musafir ki tarah Thahre the
hae us saya-e-diwar ka zindan hona

Ghazal
Tere jalwe se mere dil ka farozan hona
Mohammed Nabi Khan Jamal Soveda