tere husn ki KHair bana de ek din ka sultan mujhe
aankhon ko bas dekhne de aur honTon se pahchan mujhe
wasl mein us ke mar jaane ki hasrat mere dil mein hai
aur bichhaD kar jine ka bhi baqi hai arman mujhe
KHun ragon mein ruk jaega lekin sans na ukhDegi
kis ko bhul ke KHush baiTha hun jab aaega dhyan mujhe
main hun ek aur bis sadi ka meri mang malangon si
har ek pal ki KHabar bhi de aur barson ka saman mujhe
kaise phul aur kaun se kanTe yaad ki jholi KHali hai
ab to 'tasawwur' lagne laga hai virana viran mujhe
Ghazal
Tere husn ki KHair bana de ek din ka sultan mujhe
Harbans Tasawwur