tere honTon pe saja hai kya hai
tera har rang dua hai kya hai
tere aangan mein luTa hai kya hai
wo bhi barish mein khula hai kya hai
rang chaDhte hain utar jate hain
mausam-e-hijr pata hai kya hai
log alfaz badal lete hain
aur chehron pe likha hai kya hai
apni barbaad nigahi ke sitam
ek dar aur khula hai kya hai
mere hathon ki lakiron pe na ja
tu ne KHud hi to likha hai kya hai
KHud se milta hun bichhaD jata hun
KHwab zanjir hua hai kya hai
naddiyan KHushk hui jati hain
koi us par khaDa hai kya hai
meri aankhon se qayamat barse
jo bhi kuchh tu ne diya hai kya hai
apne waqton ki zaban bolta hun
phir ye bazar laga hai kya hai
meri basti mein udasi kaisi
shahar ki samt chala hai kya hai
kitni KHush-posh faza hai 'KHurshid'
teri aankhon ka nasha hai kya hai
Ghazal
Tere honTon pe saja hai kya hai
Aazam Khursheed