tere hisse ka bach gaya hai kuchh
meri aankhon mein chubh raha hai kuchh
hum bhi mahir hain ab tere fan mein
dil mein hai kuchh magar kaha hai kuchh
yaad karna tumhein hai aadat mein
warna dil mein nahin bacha hai kuchh
din mein bhi sochte hain hum tujh ko
raat is baat pe KHafa hai kuchh
na hua mera aur na us ka hi
dil ke hone ka faeda hai kuchh
ek sitare ke TuT jaane se
arsh ka bojh baDh gaya hai kuchh
teri aankhen jise mayassar hon
phir kahan us ko aaina hai kuchh
jaan nikli na tere jaane pe
mere haq mein ajab saza hai kuchh
sirf mere nahin hain ye aansu
in mein hissa raqib ka hai kuchh
ab duaen meri nahin sunta
arsh buDha sa ho gaya hai kuchh
Ghazal
Tere hisse ka bach gaya hai kuchh
Nishant Shrivastava Nayab