tere hi gham se meri tabiat bahal gai
tu yaad aa gaya to meri jaan sambhal gai
ab yaad hai kahan mujhe mazi ki dastan
main tujh se kya mili meri duniya badal gai
jo mere gesuon ka giraftar to hua
main bhi to tere ishq ke sanche mein Dhal gai
raushan si ho gai hai mere dil ki kaenat
jo teri aarzuon ki ek shama jal gai
daman KHayal-e-yar ka dast-e-talab mein hai
gham mein bhi zinda rahne ki surat nikal gai
jab se ye shahr chhoD ke koi chala gaya
sach kah rahi hun raunaq-e-sham-e-ghazal gai

Ghazal
Tere hi gham se meri tabiat bahal gai
Minu Bakshi