tere hasin jism ki phulon mein boss hai
go wahm hai ye wahm qarin-e-qayas hai
wo ashk jis pe chandni-shab ka libas hai
shayad kitab-e-gham ka koi iqtibas hai
meri tarah har ek ko hai chahat usi ki phir
guzre dinon ke zahar mein kitni miThas hai
barson guzar gae magar ab tak nahin bujhi
kitni ajib ret ke sahil ki pyas hai
meri sada khich is tarah aai hai lauT kar
mahsus ho raha hai koi aas-pas hai
bunden paDen to aur ziyaada hui tapish
shayad isi ka nam zamin ki bhaDas hai
apne gharon mein KHush hain charaghon ko le ke log
kis ko KHabar ki raat ka chehra udas hai
dhundla sa zard mazi ka ho jis tarah waraq
kitna hasin aap ka rang-e-libas hai
kis waqt 'kaif' TuT ke gir jae kya KHabar
palkon pe ek halqa-e-zanjir-e-yas hai
Ghazal
Tere hasin jism ki phulon mein boss hai
Kaif Ansari