tere har jaur pe yan shukr-e-KHuda hai ai dost
ki yahi maslak-e-arbab-e-wafa hai ai dost
hum ko is ahd-e-wafa se thin umiden kitni
tujh ko jo ahd-e-wafa bhul chuka hai ai dost
teri jaanib se na lai koi paigham kabhi
meri fariyaad bhi sahra ki sada hai ai dost
tere aane ki dobara jo koi aas nahin
kitni sunsan mere dil ki faza hai ai dost
teri yaadon se bhi taskin-e-tamanna na hui
waqt hum par kabhi aisa bhi paDa hai ai dost
kya ajab hai ki teri ranjish-e-beja ke sabab
tere 'shafqat' ko sar-e-tark-e-wafa hai ai dost
Ghazal
Tere har jaur pe yan shukr-e-KHuda hai ai dost
Shafqat Kazmi