tere ghar ki bhi wahi diwar thi darwaza tha
phir wahi baaten huin jin ka mujhe andaza tha
sard patthar jaan-faza malbus mein lipTe hue
hae wo duniya jahan chehre na the ghaza tha
har nafas raushan hua mere lahu ke rang se
zindagi kya thi mera bikhra hua shiraaza tha
rah gai hain ab mere hathon mein sukhi patiyan
sabr ki taqat kahan thi phul jab tak taza tha
sochte rahte the kyun tar-e-nafas kaTta nahin
be-talab jina hamare jurm ka KHamyaza tha
jo bulati thi mujhe sehn-e-gulistan ki taraf
phul ki KHushbu nahin thi barq ka aawaza tha
jab chaDhe dariya pahaDon ko baha kar le gae
Dar rahe the sab magar itna kise andaza tha
Ghazal
Tere ghar ki bhi wahi diwar thi darwaza tha
Shahzad Ahmad

