tere diwane ne diwar mein dar khola hai
sar-e-aflak naya bab-e-qamar khola hai
Dhal gaya din bhi wahin raat ne Dera Dala
thak ke rahraw ne jahan raKHt-e-safar khola hai
mere chup rahne pe bhi baat wahan tak pahunchi
raaz-e-dil tu ne magar dida-e-tar khola hai
hum kabhi tah se samundar ke hain moti lae
kabhi parcham sar-e-mah sina-sipar khola hai
dar-e-shabnam mah-o-anjum hain kabhi jalwa-farosh
kis ne ganjina ye har sham-o-sahar khola hai
kohkan ban ke kabhi hum ne ba-rang-e-majnun
ishq ka bab ba-andaz-e-digar khola hai
hasad-o-hirs-o-hawas aise kai chor mile
main ne chup-chap kabhi apna jo ghar khola hai
saikDon KHwahishon ki naginen Dasne ko baDhin
hum ne jab bhi dar-e-ganjina-e-zar khola hai
jis ko dekho wahi warafta-e-manzil hai yahan
wah kya maktaba-e-fikr-o-nazar khola hai
kis ko fursat jo sune teri kahani 'mahir'
daftar ek shikwon ka ye tu ne magar khola hai

Ghazal
Tere diwane ne diwar mein dar khola hai
Maahir Balgiraami