tere dar se main uTha lekin na mera dil uTha
chhoD kar ho jis tarah kasa koi sail uTha
qais kya jaane ki mera dekhna manzur tha
KHud-baKHud ho jab hawa se parda-e-mahmil uTha
girye ne pahle hi apna kar rakha tha bandobast
main uTha bhi wan se chalne ko to pa-dar-gil uTha
bosa-e-ariz mujhe dete hue Darta hai kyun
lunga kya nok-e-zaban se teri ruKH ka til uTha
jab uTha KHanjar na us se is ada par mar gae
hum se bhi goya na bar-e-minnat-e-qatil uTha
shikwa-e-bar-e-gham-e-hijran hai KHat mein mundaraj
nama-bar kab ho ke mere nami ka hail uTha
ghair ne aa kar nahin ki gudgudi gar KHwab mein
nind se kyun is tarah hansta hua khil-khil uTha
garche rakhta hun kahin aur panw paDta hai kahin
par ghanimat hai ki hai munh jaanib-e-manzil uTha
ashk go aatish nahin 'nazim' magar tezab hai
dekh chashm-e-tar se apni aastin ghafil uTha

Ghazal
Tere dar se main uTha lekin na mera dil uTha
Syed Yusuf Ali Khan Nazim