tere chehre ki tarah aur mere sine ki tarah
mera har sher damakta hai nagine ki tarah
phul jage hain kahin tere badan ki manind
os mahki hai kahin tere pasine ki tarah
ai mujhe chhoD ke tufan mein jaane wali
dost hota hai talatum mein safine ki tarah
ai mere gham ko zamane se batane wali
main tera raaz chhupata hun dafine ki tarah
tera wada tha ki is mah zarur aaegi
ab to har roz guzarta hai mahine ki tarah

Ghazal
Tere chehre ki tarah aur mere sine ki tarah
Mustafa Zaidi