اردو हिंदी
Tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi | Shaahi Shayari
tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi

Ghazal

Tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi

Naji Shakir

;

tere bhai ko chaha ab teri karta hun pa-bosi
mujhe sartaj kar rakh jaan mein aashiq hun maurusi

rafu kar de hain aisa pyar jo aashiq hain yaksu sin
phaDa kar aur sin shaal apni kahta hai mujhe tu si

hua maKHfi maza ab shahidi sin shahad ki zahir
magar zambur ne shirini un honTon ki ja chusi

kise ye tab jo us ki tajalli mein rahe Thahra
rumuz-e-taur lati hai sajan teri kamar mu si

samata nain izar apne mein abtar dekh rang us ka
kare kim-KHwab so jaane ki yun pate hain jasusi

ba-rang-e-shama kyun yaqub ki aankhen nahin raushan
zamane mein suna yusuf ka pairahan tha fanusi

na chhoDun us lab-e-irfan ko 'naji' aur luTa dun sab
mile gar mujh ko mulk-e-KHusrawi aur taj-e-kausi