اردو हिंदी
Tere abru ki ajab bait hai haali ai shoKH | Shaahi Shayari
tere abru ki ajab bait hai haali ai shoKH

Ghazal

Tere abru ki ajab bait hai haali ai shoKH

Siraj Aurangabadi

;

tere abru ki ajab bait hai haali ai shoKH
jis mein hai matlab-e-diwan hilali ai shoKH

gauhar-e-ashk kun hai halqa-ba-goshi ka KHayal
gar lage hat tere kan ki baali ai shoKH

ruh-e-farhad bhi KHush ho ke miThai banTe
gar sune tujh lab-e-shirin sati gali ai shoKH

jab sen dekhi hai KHat-e-sabz mein tere lab-e-surKH
tab sen sabze mein chhupi pan ki lali ai shoKH

shahr mein ulfat-e-sahra hai mujhe daman-gir
kya qayamat hain teri chashm-e-ghazali ai shoKH

masnad-e-matlab-e-dil par mere kar mohr-e-qubul
mansab-e-lutf ka mangta hun bahaali ai shoKH

bas ki taswir teri naqsh kiya dil mein 'siraj'
parda-e-chashm hai fanus-e-KHayali ai shoKH