اردو हिंदी
Tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa | Shaahi Shayari
tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa

Ghazal

Tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa

Monika Singh

;

tere aane ki KHabar deti rahi pagal hawa
tujh talak meri haya le kar gai pagal hawa

dhup kachchi sham tanha aur andheron ka hujum
un mein apna aks dikhlati chali pagal hawa

din Dhale ghar lauT aana qufl karna hasraten
kyun nahin ye KHatm hota sochti pagal hawa

shahr mein tere hain tujh ko bhulne ki zid baDi
be-sabab dil ki baDhati bekali pagal hawa

ab to ye aalam magar wo KHush nahin main bhi nahin
us ka har gham mujh se aksar banTti pagal hawa

lab pe aati baat rah jati labon ke darmiyan
aam mat kar raaz-e-dil kah rokti pagal hawa

hukmaran kahne laga hai chor hai sare makin
dekhti ahl-e-watan ki bebasi pagal hawa