اردو हिंदी
Tere aage yar-e-nau yar-e-kuhan donon hain ek | Shaahi Shayari
tere aage yar-e-nau yar-e-kuhan donon hain ek

Ghazal

Tere aage yar-e-nau yar-e-kuhan donon hain ek

Mirza Ali Lutf

;

tere aage yar-e-nau yar-e-kuhan donon hain ek
zagh-e-zisht aur tuti-e-shakkar-shikan donon hain ek

main siyah-baKHt aur raqib-e-ru-siyah ham-rang hain
qir tere pas aur mushk-e-KHutan donon hain ek

naghma-kash kya dastan apni sunae wan jahan
surat-e-bulbul aur fariyaad-e-zaghan donon hain ek

ho raqib-e-murda-shau par ho na kyun raushan-bayan
yan charagh-e-gor-o-sham-e-anjuman donon hain ek

'lutf' ki aazad-wazi se maza kya KHak uThaen
yan zaqum-e-dozaKH o sarw-e-chaman donon hain ek