tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai
magar tujhe ai zindagi kahan koi guman hai
nishan kho gaya mein apne aap apne aap ka
jahan koi ho be-nishan wahin mera nishan hai
na dekh ai is is tarash-tir ko
zara ye dekh aa ki kis ke hath mein kaman hai
ye dawat-e-jihad be-mahal nahin hai ai zamin
kisi faqir be-hunar ka aaKHiri bayan hai
main rahraw-e-siraat-e-rahzan tha thoDi der ko
samajh raha tha main meri na aankh hai na kan hai
meri nawa-e-aman be-nawa nahin hai ai falak
abhi bhi jism-e-na-tawan mein bolne ki jaan hai
safon mein samain ke jo to bhi aa gaya to sun
teri bisat-e-justuju ka aaj imtihan hai
Ghazal
Tera ye husn-e-be-karan muqayyad zaman hai
Syed Tamjeed Haider Tamjeed