tera kya jata jo milta jam-e-rehani mujhe
mai ke badle saqiya tu ne diya pani mujhe
mai-gusari mein wo ab pahli si kaifiyyat nahin
de diya saqi ne kya be-kaif sa pani mujhe
ab kisi mashrub se dil chain pa sakta nahin
kash wo aa ke pila de tegh ka pani mujhe
de diya saqi ne bhar kar mujh ko bhi jam-e-sharab
main to kahta hi raha pani mujhe pani mujhe
us ko jaanun yar muKHlis us ko manun gham-gusar
jo pila de ranj mein kulfat-ruba pani mujhe
chal paDin sansen dhaDakne lag gain nabz-e-hayat
kya kisi ne de diya angur ka pani mujhe
wo tap-e-gham hai ki sukhe hain lab-o-kaam-o-dahan
kash aa kar wo pilaen did ka pani mujhe
pi raha hun shauq se ai 'raaz' jis ko aaj tak
ek din aaKHir Dubo dega wahi pani mujhe

Ghazal
Tera kya jata jo milta jam-e-rehani mujhe
Raaz Layalpuri