tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya
itni aawazen tujhe din ki gala baiTh gaya
yun nahin hai ki faqat main hi use chahta hun
jo bhi us peD ki chhanw mein gaya baiTh gaya
itna miTha tha wo ghusse bhara lahja mat puchh
us ne jis ko bhi jaane ka kaha baiTh gaya
apna laDna bhi mohabbat hai tumhein alam nahin
chiKHti tum rahi aur mera gala baiTh gaya
us ki marzi wo jise pas biTha le apne
is pe kya laDna fulan meri jagah baiTh gaya
baat dariyaon ki suraj ki na teri hai yahan
do qadam jo bhi mere sath chala baiTh gaya
bazm-e-jaanan mein nashisten nahin hotin maKHsus
jo bhi ek bar jahan baiTh gaya baiTh gaya
Ghazal
Tera chup rahna mere zehn mein kya baiTh gaya
Tahzeeb Hafi