tera chehra jo mere dil mein utar aaya hai
har bashar sang liye mujh ko nazar aaya hai
kitni maghrur thi ye raat abhi tak lekin
ek nanha sa diya le ke sahar aaya hai
jis ko pala tha mohabbat se hamesha main ne
aastinon mein wo chhup kar mere ghar aaya hai
bad-duaen to gharibon ki nahin hain tujh par
tu jo shohrat ki bulandi se utar aaya hai
manzil-e-ishq ko aasan samajhne walon
kitne sahraon se guzra hun to ghar aaya hai
ye chaman yun hi to sarsabz nahin hai 'mazhar'
hum ne sincha hai lahu se to samar aaya hai
Ghazal
Tera chehra jo mere dil mein utar aaya hai
Mazhar Abbas