اردو हिंदी
Tera bhala ho tu jo samajhta hai mujhko ghair | Shaahi Shayari
tera bhala ho tu jo samajhta hai mujhko ghair

Ghazal

Tera bhala ho tu jo samajhta hai mujhko ghair

Farhat Ehsas

;

tera bhala ho tu jo samajhta hai mujh ko ghair
aankhon pe aankhen rakh to ki kar lun main apni sair

KHud par hamare jism ki chadar hi Dal le
bach aap apni dhup se tere badan ki KHair

kabe ke sare but mere sine mein aa base
is aashiqi mein sara haram ho gaya hai dair

jina tere baghair nahin aa saka abhi
marna to main ne sikh liya hai tere baghair

tab daKHila milega tujhe dasht-e-husn mein
jab ahl-e-shahr kahne lagen tujh ko ghair ghair

'ehsas-ji' ke halqa-e-ghurbat mein aa raho
karni agar ho apne haqiqi watan ki sair