tera andaz-e-suKHan sab se juda lagta hai
barbat-e-dil pe koi naghma-sara lagta hai
wo diya jis se ki raushan ho charagh-e-hasti
ghaur se dekhen hawaon mein ghira lagta hai
hum hain aaghosh-e-junun mein to tajjub kaisa
wo bhi to dushman-e-arbab-e-wafa lagta hai
gar nahin jalwagari bazm-e-tarab mein phir bhi
teri KHushbu se wahan tera pata lagta hai
donon hathon se chhupana tere chehre ka mujhe
sochta hun to tera dast-e-dua lagta hai
jis ka milna bhi qayamat se nahin kam 'jawed'
is ka milna bhi mujhe roz-e-jaza lagta hai
Ghazal
Tera andaz-e-suKHan sab se juda lagta hai
Zuhoor-ul-Islam Javed