tera afsana chheD kar koi
aaj jagega raat-bhar koi
aise wo dil ko toD deta hai
dil na ho jaise ho samar koi
raat hote hi mere pahlu mein
TuT kar jata hai bikhar koi
chand lamhon mein toD sab rishte
de gaya dard umr-bhar koi
ishq karta nahin hun main tum se
kah ke pachhtaya umr-bhar koi
main wafa kar ke ba-wafa Thahra
bewafa ho gaya magar koi
kaT kar peT joDega paise
tab KHaridega ek ghar koi
tere aane ki aas mein 'amabar'
dekhta hoga rahguzar koi
Ghazal
Tera afsana chheD kar koi
Abhishek Kumar Amber