tegh-e-pur-KHun wo agar dhoe kanar-e-dariya
KHanda-zan rang-e-chaman par ho bahaar-e-dariya
atash-e-ishq ki lazzat ye mili hai hum ko
ja giren aag mein aur hon na dochaar-e-dariya
durra-e-mauj lagata hai use be-taqsir
kyun na ho lasha mera shikwa-guzar-e-dariya
surKHi-e-aks-e-shafaq par jo paDa lab ka guman
lal-o-yaqut kiye hum ne nisar-e-dariya
naKHl-e-KHwahish jo nahin hota hai is se sarsabz
girya karta hai mera KHanda ba-kar-e-dariya
machhliyan laKHt-e-jigar banti hain dariya aansu
kis gul-e-tar ko hua shauq-e-shikar-e-dariya
kya gul-andam koi is mein nahaya tha jo aaj
rag-e-gul se hain moattar KHas-o-KHar-e-dariya
kis ki zulf-e-araq-afshan ka tasawwur hai unhen
lipTe hi jate hain bahron se jo mar-e-dariya
sail-e-afat mein tan dete hain jo ai 'ghafil'
misl-e-KHashak wo rahte hain sawar-e-dariya
Ghazal
Tegh-e-pur-KHun wo agar dhoe kanar-e-dariya
Munawar Khan Ghafil

