اردو हिंदी
Tegh-e-nigah-e-dida-e-KHun-Khaar nikali | Shaahi Shayari
tegh-e-nigah-e-dida-e-KHun-Khaar nikali

Ghazal

Tegh-e-nigah-e-dida-e-KHun-Khaar nikali

Mardan Ali Khan Rana

;

tegh-e-nigah-e-dida-e-KHun-KHar nikali
kyun aap ne ushshaq pe talwar nikali

bhule hain ghazalan-e-haram rah KHata se
tum ne ajab andaz ki raftar nikali

dhaDka mere nale ka raha murgh-e-sahar ko
aawaz shab-e-wasl na zinhaar nikali

har ghar mein kahe rakhte hain kohram paDega
gar lash hamari sar-e-bazar nikali

aaKHir meri turbat se ugi hai gul-e-nargis
kya baad-e-fana hasrat-e-didar nikali

main wasl ka sail hun na wade ka talab-gar
baaton mein abas aap ne takrar nikali

jal jaega ye KHirman-e-hasti abhi ai dil
sine se agar aah-e-sharar-bar nikali

dil le ke bhi 'rana' ka kiya pas na afsos
kuchh hasrat-e-dil tu ne na ayyar nikali