اردو हिंदी
Tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt | Shaahi Shayari
tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt

Ghazal

Tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt

Abu Zahid Sayyad Yahya Husaini Qadr

;

tegh-e-jafa ko teri nahin imtihan se rabt
meri subuk-sari ko hai bar-e-garan se rabt

duniya ko hum se kaam na duniya se hum ko kaam
KHatir se teri rakhte hain sare-jahan se rabt

uDte hi gard jati hai jo su-e-asman
hai kuchh na kuchh zamin ko bhi aasman se rabt

izhaar-e-haal ke liye surat sawal hai
hai guftugu se kaam na hum ko zaban se rabt

chashme ki tarah rahti hain jari mudam ye
aankhon ko ho gaya hai jo aab-e-rawan se rabt

be-rabtiyon ne 'qadr' miTai jo rabt ki
hai gosht ko bhi apne na ab ustuKHwan se rabt